Sunday 19 June 2011

Hath ki Lakeere

yeh hath ki lakeere bahot hi khubsurat hote hai
yeh samjhne k liye maine yeh lakeere bahot loogo ko dekhaye
kisse ne kuch kaha to  kisse ne kuch kaha
kisne yaha tak keh diya ki aapke 12 bacche honge tab se maine yeh lakeere dekhana chhod diya
aaj kal maine ispe research karna start kar diya
dekhte hun to sochte hun ki yeh kya hai
mujhe to yeh kise raaste ki taraha lagteen hain jo left me to koi right me jaa raheen hai


             
koi to mood ki taraha lagte hai, jo seeda jate jate ek jagah mode jaa rahe  hai.
jiske hath ki lakeer neeche se upper tak jate hai vo kehta ki uske umar lambe hote hai
kismat acche hotee hai per mujhe nahe lagta
kismat lakeeroo se nahe hatho se bante hai jitna kaam  karoguy utne hi kismat banege
yeh baat to saaree saint or saaree guru bolte hain ki hath se kismat badalte hai na ki lakeero se
yaha tak aap dua k liye hath uthaoge kiske kismat badal jate hai upper vala uske awaaz sunega
per vo awaaz dil se hone chahhiyeh......................................
per baat yeh hai ki yeh lakeere humse kya kehte hain
agar hum guru logo ki baat kareen to -ek lakeer aapki zindagi batate hain per kaise zindagi or maut dono upper vale k hath me hain
ek lakeer yeh batate hain ki aapke kitne bacche honge, yeh main kaise maan loon jab mujhe kisene yeh kaha tha  ki mere 12 bacche honge, iss zamane me 12 bacche mujhe koi IPL TEAM nahe banani to fir main kaise yakeen kar loon ki mere kitne bacche honge.............................
ab ek or baat dimaag me aate hai ki humara thumb yeh batata hai ki humare life partner ka naam ka phela akshar uspe likha hota per aisa hai kya . shayad hota ho per main jab apna thumb dekhte hun to mujhe kabhi h , m, a ya fir kabhi k dekhta hai yeh to ho nahe sakta ki main  alag alag insaan se shaadi karoon kyunki mere liye sirf ek insaan bana jo mera hoga per abhi mujhe mila nahe hai
shayad yeh bhi meri lakeero me likha hoo ki muhe kab mile 
kash main usse na mille hotee shayad yeh baat bhi mere hatho ki lakeero me likhe te
milna or mill k bechad jana 
                "Ek Chand Bheegi Raat Me Dekha Nahi Gaya
               Hai Jeet Kia Ye Maat Me Dekha Nahi Gaya
                  Dil Khil Utha Tha Usko Dekh Kar Mera
                Lekin Raqeeb Sath Me Dekha Nahi Gaya
              Dekhein Bohat Say Dushman Dewaar Ke Parey
              Ek Dost Apni Ghaat Me Dekha Nahi Gaya
              Jis Ke Liye Hai Pyar Mere Dil Me Pe`Banah
                Koi Aur Uski Zaat Me Dekha Nahi Gaya
           Maana Ke Aayan Zabt Kiya Tha Bohat Magar
               Wo Haath Kisi Haath Me Dekha Nahi Gaya'' sumbul
yeh uske liye hai jo mere hath ki lakeer nahe ban  paya.. koi kehta hai na ki hath ki lakeer zindagi hote hai per meri zindagi to vo hai toh lakeer bhi vohi......
ab to bus intezaar hai uskey or meri lakeer milna ka
raaz ab bhi koi baki hai in lakeero ka na jane kya likha hai in lakeero me...sumbul